Ek Chamatkari Kutta


Ek Chamatkari Kutta (A Dog With Lights In His Eyes)
.
Main hu ek kutta, naam Faujdaar,
Mere maalik ki malkin Bharat ki sarkar.
.
Main tha bhatka hua akela,
Ghaat ghaat main khela.
.
Kisi ne mara, kisi ne koota,
Kisi ne tha mera khaana loota.
.
Baarish me khada main rehta,
Andhera mujhko tha bhaata.
.
Ma baap ka mujhko pata nahi,
Chacha apni gali me ghusne deta nahi.
.
Kanyakumari me samudra me dooba,
Kisi Kashmir Singh ki goad me Jammu ja k utha.
.
Miltry k doctor ne bola iski ek aankh karta hu band,
Faila hai zeher kisi kaali machli ka, kambal lao ise lagi hai thand.
.
Kaani aankh ko le kar main nikalne laga,
Fauji ne uthayi soti,
Kenda kitthe janda paya gadha?
.
Utne me vapas aya doctor bhaag,
Kehta ye bulb fit karta hu iski aankh me oopar se aya hai order,
Border pe chahiye roshni, tael lene gaya ceasefire.
.
Sir, kehte hain kya khamba lagaoge,
Jab khada hai ye kutta jawan?
Aankh me iski ek sau dedh sau watt ka bulab do jala.
.
Tha main dakshin Bharat se,
Aur samajh me bhi kuch na aya.
.
Samudra me goata lagane ka shaunk,
Itna bhaari nateeja laya.
.
Aankh me mere fit kar light bulb kar liya fauj me bharti,
Naam rakha faujdaar, maalik tha mera ‘Khatri’.
.
Tha main abhi andha,
Khaali ek aankh se dikhta,
Par roshni fainkta door door tak,
Majal k koi chhupta.
.
Raat ko khulla chhod kar,
So jaati hai poori fauj.
.
Door se lagta hai
K hai pehre par chaukidaar haath me liye torch.
.
Uth lo naujawano, awaara kutto par na chhodo poora desh,
Main bhi kisi khule jaal k taak me baitha hu,
Bhagunga kisi din badal k bhes.
.
Par kitna badlu bhes, pehle ye aankh me gudi light hai kya kum?
Yaha to fir peeli daal mil rahi, bahar mil k nikaal daalenge kutte mera dum.
.
+Nipundart
#art #dog #light #painting #poem #poetry #hindi #acrylic

Leave a comment